jab naqaab-e-rukh par uske aftaab rakh diya | जब नक़ाब-ए-रुख़ पर उसके आफ़ताब रख दिया

  - Prashant Kumar

jab naqaab-e-rukh par uske aftaab rakh diya
yun laga ki chaand par koi gulaab rakh diya

maine कब,कहाँ pe kitne bose raat mein liye
usne khol karke aaj sab hisaab rakh diya

aankh कान,गाल,होंट sab may ae kuhan lage
hamne husn ka bhi naam ik sharaab rakh diya

maut ki kagaar par hoon jab use khabar hui
aaj hi uthaake taq mein hijaab rakh diya

jurm ke khilaaf bas qalam uthaai thi prashaant
munsifon ne mera naam hi kasaab rakh diya

जब नक़ाब-ए-रुख़ पर उसके आफ़ताब रख दिया
यूँ लगा कि चाँद पर कोई गुलाब रख दिया

मैंने कब,कहाँ पे कितने बोसे रात में लिए
उसने खोल करके आज सब हिसाब रख दिया

आँख, कान,गाल,होंट सब मय ए कुहन लगे
हमने हुस्न का भी नाम इक शराब रख दिया

मौत की कगार पर हूँ जब उसे ख़बर हुई
आज ही उठाके ताक़ में हिजाब रख दिया

जुर्म के ख़िलाफ़ बस क़लम उठाई थी 'प्रशांत'
मुंसिफ़ों ने मेरा नाम ही कसाब रख दिया

  - Prashant Kumar

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari