hamein mohabbat sikha rahe ho
nigaah phir bhi chura rahe ho
ki khud tamasha bana rahe ho
hamein sharaabi bata rahe ho
use farishta bata rahe ho
phir ungaliyaan bhi utha rahe ho
kabhi bahaane bana rahe ho
kabhi haqeeqat bata rahe ho
nazar kisi se mila rahe ho
ki dil kisi ka chura rahe ho
bane suhan-var ki phir rahe ho
ghazal hamaari suna rahe ho
हमें मोहब्बत सिखा रहे हो
निगाह फिर भी चुरा रहे हो
कि ख़ुद तमाशा बना रहे हो
हमें शराबी बता रहे हो
उसे फ़रिश्ता बता रहे हो
फिर उँगलियाँ भी उठा रहे हो
कभी बहाने बना रहे हो
कभी हक़ीक़त बता रहे हो
नज़र किसी से मिला रहे हो
कि दिल किसी का चुरा रहे हो
बने सुख़न-वर कि फिर रहे हो
ग़ज़ल हमारी सुना रहे हो
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari