kahi par meer ghalib to kahi gulzaar baithe hain | कहीं पर मीर, ग़ालिब तो कहीं गुलज़ार बैठे हैं

  - Prashant Kumar

kahi par meer ghalib to kahi gulzaar baithe hain
magar iqbaal akela sab pe karke vaar baithe hain

sabhi yaktaa sukhun jinke hunar naayaab tha jinka
hamaare lab par un iqbaal ke ash'aar baithe hain

tumhein ustaad karne ki bahut thi aarzoo dil ki
abhi tak ham qalam copy liye taiyaar baithe hain

tumhein ustaad karke phir charan choone ki ichchha thi
isee ik aas mein ham ab bhi sarhad paar baithe hain

wahi allaam-ul-gaib aur allaama hain duniya ke
qalam ki nok par unki sabhi fankaar baithe hain

कहीं पर मीर, ग़ालिब तो कहीं गुलज़ार बैठे हैं
मगर इक़बाल अकेले सब पे करके वार बैठे हैं

सभी यकता सुख़न जिनके हुनर नायाब था जिनका
हमारे लब पर उन इक़बाल के अश'आर बैठे हैं

तुम्हें उस्ताद करने की बहुत थी आरज़ू दिल की
अभी तक हम क़लम कॉपी लिए तैयार बैठे हैं

तुम्हें उस्ताद करके फिर चरण छूने की इच्छा थी
इसी इक आस में हम अब भी सरहद पार बैठे हैं

वही 'अल्लाम-उल-गै़ब और 'अल्लामा हैं दुनिया के
क़लम की नोक पर उनकी सभी फ़नकार बैठे हैं

  - Prashant Kumar

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari