janam liya is mitti mein par farz nibhaana bhool gaye | जन्म लिया इस मिट्टी में पर फ़र्ज़ निभाना भूल गए

  - Prashant Kumar

janam liya is mitti mein par farz nibhaana bhool gaye
log gumaan ki garmi mein the mulk puraana bhool gaye

tum bhi muhabbat karte ho dil ko kaise batlaaoge
dar ke maare ham tak isko raat bataana bhool gaye

kaise-kaise deewane the dekho to is kooche mein
unke hi darshan ko aaye aankh ladna bhool gaye

jeevan bhar in chaara-gar ne sar se pa tak jaanchen keen
ab mayyat par ro kar kahte marz bataana bhool gaye

ham bhi kaise suhan-var the jo ik afsaane ki dhun mein
unki mehfil mein unse hi arz karaana bhool gaye

karne ko ikraam hamaara usne pair hilaaya tha
ham hi anjaane mein aage haath badhaana bhool gaye

जन्म लिया इस मिट्टी में पर फ़र्ज़ निभाना भूल गए
लोग गुमाँ की गर्मी में थे मुल्क पुराना भूल गए

तुम भी मुहब्बत करते हो दिल को कैसे बतलाओगे
डर के मारे हम तक इसको रात बताना भूल गए

कैसे-कैसे दीवाने थे देखो तो इस कूचे में
उनके ही दर्शन को आए आँख लड़ाना भूल गए

जीवन भर इन चारा-गर ने सर से पा तक जाँचें कीं
अब मय्यत पर रो कर कहते मर्ज़ बताना भूल गए

हम भी कैसे सुख़न-वर थे जो इक अफ़साने की धुन में
उनकी महफ़िल में उनसे ही अर्ज़ कराना भूल गए

करने को इकराम हमारा उसने पैर हिलाया था
हम ही अनजाने में आगे हाथ बढ़ाना भूल गए

  - Prashant Kumar

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari