main teri nazar mein hoon tu meri nazar mein hai
ik dooje kii photo dono ke jigar mein hai
kyun aati dar-dar ke kyun milti chhup chhup kar
tu bhool rahi shaayad duniya kii khabar mein hai
kyun itne hijaabo mein tu ghar se nikalti hai
ab apni kahaani to duniya kii nazar mein hai
jab chaand nikalta hai sab chhat par aate hain
aur taak lagaate hain tu mere ghar mein hai
kaise na milegi tu ik baat bata manzil
saansen chhooti hain dil man rooh dagar mein hai
yun sar pe chadhaane se har baalak bigadega
sudhega vo hi jo dande ke asar mein hai
phoolon se bhara rab ne ahl-e-kul ka aangan
kaanton kii bagiya to mere hi ghar mein hai
मैं तेरी नज़र में हूँ तू मेरी नज़र में है
इक दूजे की फोटो दोनों के जिगर में है
क्यूँ आती डर-डर के क्यूँ मिलती छुप छुप कर
तू भूल रही शायद दुनिया की ख़बर में है
क्यूँ इतने हिजाबों में तू घर से निकलती है
अब अपनी कहानी तो दुनिया की नज़र में है
जब चाँद निकलता है सब छत पर आते हैं
और ताक लगाते हैं तू मेरे घर में है
कैसे न मिलेगी तू इक बात बता मंज़िल
साँसें छूटी हैं दिल मन रूह डगर में है
यूँ सर पे चढ़ाने से हर बालक बिगड़ेगा
सुधरेगा वो ही जो डंडे के असर में है
फूलों से भरा रब ने अहल-ए-कुल का आँगन
काँटों की बगिया तो मेरे ही घर में है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari