nazar nazar mein mera dil chura liya usne
ki raat baam-e-falak par bula liya usne
mujhi ko dekh rahi theen behisht kii pariyaan
nazar utaar ke dil mein chhupa liya usne
koii haseen mujhi par fida na ho jaaye
pakad ke haath kane hi sula liya usne
nahin hua marz-e-la-ilaj theek kahin
khuda ke paas bhi mujhko dikha liya usne
kaha tha waqt-e-mulaqaat yaad rakhiyo bas
mera to naam labon par saja liya usne
kharonch aayi zara sii mujhe so gusse mein
khuda ko aaj ki sar pe utha liya usne
नज़र नज़र में मिरा दिल चुरा लिया उसने
कि रात बाम-ए-फ़लक पर बुला लिया उसने
मुझी को देख रही थीं बहिश्त की परियाँ
नज़र उतार के दिल में छुपा लिया उसने
कोई हसीन मुझी पर फ़िदा न हो जाए
पकड़ के हाथ कने ही सुला लिया उसने
नहीं हुआ मरज़-ए-ला-'इलाज ठीक कहीं
ख़ुदा के पास भी मुझको दिखा लिया उसने
कहा था वक़्त-ए-मुलाक़ात याद रखियो बस
मिरा तो नाम लबों पर सजा लिया उसने
खरोंच आई ज़रा सी मुझे सो गुस्से में
ख़ुदा को आज कि सर पे उठा लिया उसने
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari