meri zindagi nahin hai kisi ba-khuda ke vash mein
ki mujhe hayaat dekar hai khuda bhi kashmakash mein
are poora tan badan main tira leke kya karunga
mujhe til vo choomna hai jo chhupa hua hai fash mein
shab-e-gham mein is tarah se ye hayaat chalti jaise
sar-e-baam rafta rafta koii dam lagaaye kash mein
bhari anjuman mein aise mera naam ab na lena
tujhe vaasta khuda ka meri jaan hai kashmakash mein
are saamne to aao mera haal dekh to lo
meri jaan nikal rahi hai main nahin hoon khud ke vash mein
मिरी ज़िंदगी नहीं है किसी बा-ख़ुदा के वश में
कि मुझे हयात देकर है ख़ुदा भी कश्मकश में
अरे पूरा तन बदन मैं तिरा लेके क्या करूँगा
मुझे तिल वो चूमना है जो छुपा हुआ है फश में
शब-ए-ग़म में इस तरह से ये हयात चलती जैसे
सर-ए-बाम रफ़्ता रफ़्ता कोई दम लगाए कश में
भरी अंजुमन में ऐसे मिरा नाम अब न लेना
तुझे वास्ता ख़ुदा का मिरी जाँ है कश्मकश में
अरे सामने तो आओ मिरा हाल देख तो लो
मिरी जाँ निकल रही है मैं नहीं हूँ ख़ुद के वश में
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari