kuchh gham zameen par hain to kuchh aasmaan mein | कुछ ग़म ज़मीन पर हैं तो कुछ आसमान में

  - Prashant Kumar

kuchh gham zameen par hain to kuchh aasmaan mein
aur kuchh rakhe hue hain khuda kii dukaan mein

kyun bolta nahin koii mere virodh mein
taale pade hue hain tiri bhi zubaan mein

ik teer hi bacha tha so dushman ko de diya
atki padi thi jaan bichaare kii jaan mein

bachchon se kar rahe hain namaskaar ab buzurg
sanskaar rah gaye hain yahi khaandaan mein

ye phone kya chale hain ki zinda nahin koii
khud se bhi door ho gaye log ab jahaan mein

कुछ ग़म ज़मीन पर हैं तो कुछ आसमान में
और कुछ रखे हुए हैं ख़ुदा की दुकान में

क्यूँ बोलता नहीं कोई मेरे विरोध में
ताले पड़े हुए हैं तिरी भी ज़बान में

इक तीर ही बचा था सो दुश्मन को दे दिया
अटकी पड़ी थी जान बिचारे की जान में

बच्चों से कर रहे हैं नमस्कार अब बुज़ुर्ग
संस्कार रह गए हैं यही ख़ानदान में

ये फ़ोन क्या चले हैं कि ज़िंदा नहीं कोई
ख़ुद से भी दूर हो गए लोग अब जहान में

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari