is qadar zindagi mein tu aaye
khoon se mere tiri boo aaye
har kisi ko mile the seem-o-zar
mere hisse mein hi aaloo aaye
dil churaane ko meri chaukhat par
tere hi bhes mein sadhu aaye
pesh kii jaam-e-kuhan sabke liye
meri khidmat mein to kaajoo aaye
sochta hoon tira dil jab bhi dukhe
to meri aankh mein aansu aaye
इस क़दर ज़िंदगी में तू आए
ख़ून से मेरे तिरी बू आए
हर किसी को मिले थे सीम-ओ-ज़र
मेरे हिस्से में ही आलू आए
दिल चुराने को मिरी चौखट पर
तेरे ही भेष में साधू आए
पेश की जाम-ए-कुहन सबके लिए
मेरी ख़िदमत में तो काजू आए
सोचता हूँ तिरा दिल जब भी दुखे
तो मिरी आँख में आँसू आए
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari