sabhi ko zindagi ke rang dikhlaana zaroori hai | सभी को ज़िंदगी के रंग दिखलाना ज़रूरी है

  - Prashant Kumar

sabhi ko zindagi ke rang dikhlaana zaroori hai
so mere naam se pehchaan banwaana zaroori hai

kisi ka bhi suraagh aise milega hi nahin tumko
are is baar haakim ko bhi uthwaana zaroori hai

suna hai khoob cheeni se bhi meethe hont hain unke
to phir bosa hamein bhi yaar dilwaana zaroori hai

hamesha taadte rahte hain ghar mein log galiyon se
kiwaadon ko are aise mein chadhwaana zaroori hai

idhar main chal nahin saka udhar rone lage hain vo
gul ae ahmar kisi ke haath bhijwaana zaroori hai

tujhe koi utha kar le na jaaye dar laga rehta
tiri chaukhat pe darwaaza bhi lagwaana zaroori hai

mere deedaar ki chaahat mein hi beemaar hote hain
unhen chehra suno aise mein dikhlaana zaroori hai

tumhaara husn mera fan jab itna milta julata hai
to phir ghazalon mein kya nazmon mein bhi zikr aana zaroori hai

सभी को ज़िंदगी के रंग दिखलाना ज़रूरी है
सो मेरे नाम से पहचान बनवाना ज़रूरी है

किसी का भी सुराग़ ऐसे मिलेगा ही नहीं तुमको
अरे इस बार हाकिम को भी उठवाना ज़रूरी है

सुना है ख़ूब चीनी से भी मीठे होंट हैं उनके
तो फिर बोसा हमें भी यार दिलवाना ज़रूरी है

हमेशा ताड़ते रहते हैं घर में लोग गलियों से
किवाड़ों को अरे ऐसे में चढ़वाना ज़रूरी है

इधर मैं चल नहीं सकता उधर रोने लगे हैं वो
गुल ए अहमर किसी के हाथ भिजवाना ज़रूरी है

तुझे कोई उठा कर ले न जाए डर लगा रहता
तिरी चौखट पे दरवाज़ा भी लगवाना ज़रूरी है

मिरे दीदार की चाहत में ही बीमार होते हैं
उन्हें चेहरा सुनो ऐसे में दिखलाना ज़रूरी है

तुम्हारा हुस्न मेरा फ़न जब इतना मिलता जुलता है
तो फिर ग़ज़लों में क्या नज़्मों में भी ज़िक्र आना ज़रूरी है

  - Prashant Kumar

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari