chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko | चारों तरफ़ से मौत ने घेरा है ज़ीस्त को

  - Adil Mansuri

chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko
aur us ke saath hukm ki ab zindagi karo

baahar gali mein shor hai barsaat ka suno
kundi laga ke aaj to ghar mein pade raho

chhod aaye kis ki chat pe jawaan-saal chaand ko
khaamosh kis liye ho sitaaro jawaab do

kyun chalte chalte ruk gaye veeraan raasto
tanhaa hoon aaj main zara ghar tak to saath do

jis ne bhi mud ke dekha vo patthar ka ho gaya
nazrein jhukaaye dosto chup chup chale chalo

allah rakhe teri sehar jaisi kam-sini
dil kaanpata hai jab bhi tu aati hai shaam ko

veeraan chaman pe roee hai shabnam tamaam raat
aise mein koi nanhi kali muskuraaye to

aadil hawaaein kab se bhi deti hain dastaken
jaldi se uth ke kamre ka darwaaza khol do

चारों तरफ़ से मौत ने घेरा है ज़ीस्त को
और उस के साथ हुक्म कि अब ज़िंदगी करो

बाहर गली में शोर है बरसात का सुनो
कुंडी लगा के आज तो घर में पड़े रहो

छोड़ आए किस की छत पे जवाँ-साल चाँद को
ख़ामोश किस लिए हो सितारो जवाब दो

क्यूँ चलते चलते रुक गए वीरान रास्तो
तन्हा हूँ आज मैं ज़रा घर तक तो साथ दो

जिस ने भी मुड़ के देखा वो पत्थर का हो गया
नज़रें झुकाए दोस्तो चुप चुप चले चलो

अल्लाह रक्खे तेरी सहर जैसी कम-सिनी
दिल काँपता है जब भी तू आती है शाम को

वीराँ चमन पे रोई है शबनम तमाम रात
ऐसे में कोई नन्ही कली मुस्कुराए तो

'आदिल' हवाएँ कब से भी देती हैं दस्तकें
जल्दी से उठ के कमरे का दरवाज़ा खोल दो

  - Adil Mansuri

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari