darwaaza band dekh ke mere makaan ka | दरवाज़ा बंद देख के मेरे मकान का - Adil Mansuri

darwaaza band dekh ke mere makaan ka
jhonka hawa ka khidki ke parde hila gaya

vo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gaya
pedon ne phool patton se rasta chhupa liya

us ke qareeb jaane ka anjaam ye hua
main apne-aap se bhi bahut door ja pada

angadaai le rahi thi gulistaan mein jab bahaar
har phool apne rang ki aatish mein jal gaya

kaante se tootte hain mere ang ang mein
rag rag mein chaand jalta hua zahar bhar gaya

aankhon ne us ko dekha nahin is ke baawajood
dil us ki yaad se kabhi ghaafil nahin raha

darwaaza khatkhataa ke sitaare chale gaye
khwaabon ki shaal odh ke main unghta raha

shab chaandni ki aanch mein tap kar nikhar gai
suraj ki jaltee aag mein din khaak ho gaya

sadken tamaam dhoop se angaara ho gaeein
andhi hawaaein chalti hain in par barhana-pa

vo aaye thodi der ruke aur chale gaye
aadil main sar jhukaaye hue chup khada raha

दरवाज़ा बंद देख के मेरे मकान का
झोंका हवा का खिड़की के पर्दे हिला गया

वो जान-ए-नौ-बहार जिधर से गुज़र गया
पेड़ों ने फूल पत्तों से रस्ता छुपा लिया

उस के क़रीब जाने का अंजाम ये हुआ
मैं अपने-आप से भी बहुत दूर जा पड़ा

अंगड़ाई ले रही थी गुलिस्ताँ में जब बहार
हर फूल अपने रंग की आतिश में जल गया

काँटे से टूटते हैं मिरे अंग अंग में
रग रग में चाँद जलता हुआ ज़हर भर गया

आँखों ने उस को देखा नहीं इस के बावजूद
दिल उस की याद से कभी ग़ाफ़िल नहीं रहा

दरवाज़ा खटखटा के सितारे चले गए
ख़्वाबों की शाल ओढ़ के मैं ऊँघता रहा

शब चाँदनी की आँच में तप कर निखर गई
सूरज की जलती आग में दिन ख़ाक हो गया

सड़कें तमाम धूप से अँगारा हो गईं
अंधी हवाएँ चलती हैं इन पर बरहना-पा

वो आए थोड़ी देर रुके और चले गए
'आदिल' मैं सर झुकाए हुए चुप खड़ा रहा

- Adil Mansuri
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari