mujhe pasand nahin aise kaarobaar mein hoon | मुझे पसंद नहीं ऐसे कारोबार में हूँ - Adil Mansuri

mujhe pasand nahin aise kaarobaar mein hoon
ye jabr hai ki main khud apne ikhtiyaar mein hoon

hudoode-waqt se baahar ajab hisaar mein hoon
main ek lamha hoon sadiyon ke intizaar mein hoon

abhi na kar meri tashkeel mujh ko naam na de
tire vujood se baahar mein kis shumaar mein hoon

main ek zarra meri haisiyat hi kya hai magar
hawa ke saath hoon udte hue ghubaar mein hoon

bas aas-paas ye suraj hai aur kuch bhi nahin
mahak raha to hoon lekin main regzaar mein hoon

मुझे पसंद नहीं ऐसे कारोबार में हूँ
ये जब्र है कि मैं ख़ुद अपने इख़्तियार में हूँ

हुदूद-ए-वक़्त से बाहर अजब हिसार में हूँ
मैं एक लम्हा हूँ सदियों के इंतिज़ार में हूँ

अभी न कर मिरी तश्कील मुझ को नाम न दे
तिरे वजूद से बाहर में किस शुमार में हूँ

मैं एक ज़र्रा मिरी हैसियत ही क्या है मगर
हवा के साथ हूँ उड़ते हुए ग़ुबार में हूँ

बस आस-पास ये सूरज है और कुछ भी नहीं
महक रहा तो हूँ लेकिन मैं रेगज़ार में हूँ

- Adil Mansuri
2 Likes

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari