zameen chhod kar main kidhar jaaunga
andheron ke andar utar jaaunga
meri pattiyaan saari sookhi hui
naye mausamon mein bikhar jaaunga
agar aa gaya aaina saamne
to apne hi chehre se dar jaaunga
vo ik aankh jo meri apni bhi hai
na aayi nazar to kidhar jaaunga
vo ik shakhs awaaz dega agar
main khaali sadak par thehar jaaunga
palat kar na paaya kisi ko agar
to apni hi aahat se dar jaaunga
tiri zaat mein saans li hai sada
tujhe chhod kar main kidhar jaaunga
ज़मीं छोड़ कर मैं किधर जाऊँगा
अँधेरों के अंदर उतर जाऊँगा
मिरी पत्तियाँ सारी सूखी हुईं
नए मौसमों में बिखर जाऊँगा
अगर आ गया आइना सामने
तो अपने ही चेहरे से डर जाऊँगा
वो इक आँख जो मेरी अपनी भी है
न आई नज़र तो किधर जाऊँगा
वो इक शख़्स आवाज़ देगा अगर
मैं ख़ाली सड़क पर ठहर जाऊँगा
पलट कर न पाया किसी को अगर
तो अपनी ही आहट से डर जाऊँगा
तिरी ज़ात में साँस ली है सदा
तुझे छोड़ कर मैं किधर जाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Adil Mansuri
our suggestion based on Adil Mansuri
As you were reading Terrorism Shayari Shayari