gaanthi hai us ne dosti ik pesh-imaam se
aadil utha lo haath dua-o-salaam se
paani ne raasta na diya jaan-boojh kar
ghote lagaaye phir bhi rahe tishna-kaam se
main us gali se sar ko jhukaaye guzar gaya
chilgoze fenkti rahi vo mujh pe baam se
vo kaun tha jo din ke ujaale mein kho gaya
ye chaand kis ko dhoondhne nikla hai shaam se
kone mein baadshaah pada unghta raha
table pe raat kat gai begum ghulaam se
nashsha sa dolta hai tire ang ang par
jaise abhi bhigo ke nikala ho jaam se
गाँठी है उस ने दोस्ती इक पेश-इमाम से
'आदिल' उठा लो हाथ दुआ-ओ-सलाम से
पानी ने रास्ता न दिया जान-बूझ कर
ग़ोते लगाए फिर भी रहे तिश्ना-काम से
मैं उस गली से सर को झुकाए गुज़र गया
चिलगोज़े फेंकती रही वो मुझ पे बाम से
वो कौन था जो दिन के उजाले में खो गया
ये चाँद किस को ढूँडने निकला है शाम से
कोने में बादशाह पड़ा ऊँघता रहा
टेबल पे रात कट गई बेगम ग़ुलाम से
नश्शा सा डोलता है तिरे अंग अंग पर
जैसे अभी भिगो के निकाला हो जाम से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Adil Mansuri
our suggestion based on Adil Mansuri
As you were reading Shaam Shayari Shayari