jeeta hai sirf tere liye kaun mar ke dekh | जीता है सिर्फ़ तेरे लिए कौन मर के देख - Adil Mansuri

jeeta hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ik roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh

manzil yahin hai aam ke pedon ki chaanv mein
ai shehsawaar ghode se neeche utar ke dekh

toote pade hain kitne ujaalon ke ustukhwaan
saaya-numa andhere ke andar utar ke dekh

phoolon ki tang-daamani ka tazkira na kar
khushboo ki tarah mauj-e-saba mein bikhar ke dekh

tujh par khulenge maut ki sarhad ke raaste
himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh

dariya ki wusaaton se use naapte nahin
tanhaai kitni gahri hai ik jaam bhar ke dekh

जीता है सिर्फ़ तेरे लिए कौन मर के देख
इक रोज़ मेरी जान ये हरकत भी कर के देख

मंज़िल यहीं है आम के पेड़ों की छाँव में
ऐ शहसवार घोड़े से नीचे उतर के देख

टूटे पड़े हैं कितने उजालों के उस्तुख़्वाँ
साया-नुमा अँधेरे के अंदर उतर के देख

फूलों की तंग-दामनी का तज़्किरा न कर
ख़ुशबू की तरह मौज-ए-सबा में बिखर के देख

तुझ पर खुलेंगे मौत की सरहद के रास्ते
हिम्मत अगर है उस की गली से गुज़र के देख

दरिया की वुसअतों से उसे नापते नहीं
तन्हाई कितनी गहरी है इक जाम भर के देख

- Adil Mansuri
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari