mujhe rona nahin awaaz bhi bhari nahin karne
mohabbat ki kahaani mein adaakaari nahin karne
hawa ke khauf se lipta hua hoon khushk tahni se
kahi jaana nahin jaane ki tayyaari nahin karne
tahammul ai mohabbat hijr pathreela ilaqa hai
tujhe is raaste par tez-raftaari nahin karne
hamaara dil zara ukta gaya tha ghar mein rah rah kar
yoonhi bazaar aaye hain khareedaari nahin karne
ghazal ko kam-nigaahon ki pahunch se door rakhta hoon
mujhe banjar dimaagon mein shjar-kaari nahin karne
wasiyyat ki thi mujh ko qais ne sehra ke baare mein
ye mera ghar hai is ki chaar-deewaari nahin karne
मुझे रोना नहीं आवाज़ भी भारी नहीं करनी
मोहब्बत की कहानी में अदाकारी नहीं करनी
हवा के ख़ौफ़ से लिपटा हुआ हूँ ख़ुश्क टहनी से
कहीं जाना नहीं जाने की तय्यारी नहीं करनी
तहम्मुल ऐ मोहब्बत हिज्र पथरीला इलाक़ा है
तुझे इस रास्ते पर तेज़-रफ़्तारी नहीं करनी
हमारा दिल ज़रा उकता गया था घर में रह रह कर
यूँही बाज़ार आए हैं ख़रीदारी नहीं करनी
ग़ज़ल को कम-निगाहों की पहुँच से दूर रखता हूँ
मुझे बंजर दिमाग़ों में शजर-कारी नहीं करनी
वसिय्यत की थी मुझ को क़ैस ने सहरा के बारे में
ये मेरा घर है इस की चार-दीवारी नहीं करनी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Khan
our suggestion based on Afzal Khan
As you were reading One sided love Shayari Shayari