yun to har samt hai imdaad ke bazaar khule | यूँ तो हर सम्त है इमदाद के बाज़ार खुले

  - Ahmad Abdullah

yun to har samt hai imdaad ke bazaar khule
tere aage hi magar dast-e-gunehgaar khule

aapne jurm kiya aapka sar kaatenge
aapne ishq kiya aapki dastaar khule

mere tohfon ne mohabbat ka bharam tod diya
choodiyaan tang nikal aayi hain aur haar khule

यूँ तो हर सम्त है इमदाद के बाज़ार खुले
तेरे आगे ही मगर दस्त-ए-गुनहगार खुले

आपने जुर्म किया आपका सर काटेंगे
आपने इश्क़ किया आपकी दस्तार खुले

मेरे तोहफ़ों ने मोहब्बत का भरम तोड़ दिया
चूड़ियाँ तंग निकल आई हैं और हार खुले

  - Ahmad Abdullah

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Abdullah

As you were reading Shayari by Ahmad Abdullah

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Abdullah

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari