aankh se door na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega
itna maanoos na ho khilvat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaayega
doobte doobte kashti ko uchhaala de doon
main nahin koi to saahil pe utar jaayega
zindagi teri ata hai to ye jaane waala
teri bakshish tiri dahleez pe dhar jaayega
zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz
zalim ab ke bhi na roega to mar jaayega
आँख से दूर न हो दिल से उतर जाएगा
वक़्त का क्या है गुज़रता है गुज़र जाएगा
इतना मानूस न हो ख़ल्वत-ए-ग़म से अपनी
तू कभी ख़ुद को भी देखेगा तो डर जाएगा
डूबते डूबते कश्ती को उछाला दे दूँ
मैं नहीं कोई तो साहिल पे उतर जाएगा
ज़िंदगी तेरी अता है तो ये जाने वाला
तेरी बख़्शिश तिरी दहलीज़ पे धर जाएगा
ज़ब्त लाज़िम है मगर दुख है क़यामत का 'फ़राज़'
ज़ालिम अब के भी न रोएगा तो मर जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Dard Shayari Shayari