vahshatein badhti gaeein hijr ke aazaar ke saath
ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath
ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath
meer do din na jiye hijr ke aazaar ke saath
ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain
taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath
is qadar khauf hai ab shehar ki galiyon mein ki log
chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath
ek to khwaab liye firte ho galiyon galiyon
us pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath
shehar ka shehar hi naaseh ho to kya keejiega
warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath
ham ko us shehar mein ta'aamir ka sauda hai jahaan
log me'maar ko chun dete hain deewaar ke saath
jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz
soo-e-maqtal bhi gaye hain usi pindaar ke saath
वहशतें बढ़ती गईं हिज्र के आज़ार के साथ
अब तो हम बात भी करते नहीं ग़म-ख़्वार के साथ
हम ने इक उम्र बसर की है ग़म-ए-यार के साथ
'मीर' दो दिन न जिए हिज्र के आज़ार के साथ
अब तो हम घर से निकलते हैं तो रख देते हैं
ताक़ पर इज़्ज़त-ए-सादात भी दस्तार के साथ
इस क़दर ख़ौफ़ है अब शहर की गलियों में कि लोग
चाप सुनते हैं तो लग जाते हैं दीवार के साथ
एक तो ख़्वाब लिए फिरते हो गलियों गलियों
उस पे तकरार भी करते हो ख़रीदार के साथ
शहर का शहर ही नासेह हो तो क्या कीजिएगा
वर्ना हम रिंद तो भिड़ जाते हैं दो-चार के साथ
हम को उस शहर में ता'मीर का सौदा है जहाँ
लोग मे'मार को चुन देते हैं दीवार के साथ
जो शरफ़ हम को मिला कूचा-ए-जानाँ से 'फ़राज़'
सू-ए-मक़्तल भी गए हैं उसी पिंदार के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Shahr Shayari Shayari