ye kya ki sab se bayaan dil ki haalate karne | ये क्या कि सब से बयाँ दिल की हालतें करनी

  - Ahmad Faraz

ye kya ki sab se bayaan dil ki haalate karne
faraaz tujh ko na aayein mohabbatein karne

ye qurb kya hai ki tu saamne hai aur hamein
shumaar abhi se judaai ki saa'atein karne

koi khuda ho ki patthar jise bhi ham chahein
tamaam umr usi ki ibaadaatein karne

sab apne apne qareene se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karne

ham apne dil se hi majboor aur logon ko
zara si baat pe barpa qayaamaatein karne

milen jab un se to mubham si guftugoo karna
phir apne aap se sau sau vazaahatein karne

ye log kaise magar dushmani nibahte hain
hamein to raas na aayein mohabbatein karne

kabhi faraaz naye mausamon mein ro dena
kabhi talash puraani rifaqatein karne

ये क्या कि सब से बयाँ दिल की हालतें करनी
'फ़राज़' तुझ को न आईं मोहब्बतें करनी

ये क़ुर्ब क्या है कि तू सामने है और हमें
शुमार अभी से जुदाई की साअ'तें करनी

कोई ख़ुदा हो कि पत्थर जिसे भी हम चाहें
तमाम उम्र उसी की इबादतें करनी

सब अपने अपने क़रीने से मुंतज़िर उस के
किसी को शुक्र किसी को शिकायतें करनी

हम अपने दिल से ही मजबूर और लोगों को
ज़रा सी बात पे बरपा क़यामतें करनी

मिलें जब उन से तो मुबहम सी गुफ़्तुगू करना
फिर अपने आप से सौ सौ वज़ाहतें करनी

ये लोग कैसे मगर दुश्मनी निबाहते हैं
हमें तो रास न आईं मोहब्बतें करनी

कभी 'फ़राज़' नए मौसमों में रो देना
कभी तलाश पुरानी रिफाक़तें करनी

  - Ahmad Faraz

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari