mehfil mehfil sannaate hain
dard ki goonj pe kaan dhare hain
dil tha shor tha hangaame the
yaaro ham bhi tum jaise hain
mauj-e-hawa mein aag bhari hai
bahte dariya khaul uthe hain
armaanon ke narm shagoofe
shaakhon ke ham-raah jale hain
ye jo dher hain ye jo khandar hain
maazi ki galiyaan-kooche hain
jin ko dekhna bas mein nahin tha
aise bhi manzar dekhe hain
kaun dilon par dastak dega
yaadon ne dam saadh liye hain
महफ़िल महफ़िल सन्नाटे हैं
दर्द की गूँज पे कान धरे हैं
दिल था शोर था हंगामे थे
यारो हम भी तुम जैसे हैं
मौज-ए-हवा में आग भरी है
बहते दरिया खौल उठे हैं
अरमानों के नर्म शगूफ़े
शाख़ों के हम-राह जले हैं
ये जो ढेर हैं ये जो खंडर हैं
माज़ी की गलियाँ-कूचे हैं
जिन को देखना बस में नहीं था
ऐसे भी मंज़र देखे हैं
कौन दिलों पर दस्तक देगा
यादों ने दम साध लिए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Nazakat Shayari Shayari