main dil-zada hoon agar dil-figaar vo bhi hain | मैं दिल-ज़दा हूँ अगर दिल-फ़िगार वो भी हैं

  - Ahmad Rahi

main dil-zada hoon agar dil-figaar vo bhi hain
ki dard-e-ishq ke ab daavedaar vo bhi hain

hua hai jin ke karam se dil o nazar ka ziyaan
b-faiz-e-waqt mere gham-gusaar vo bhi hain

shaheed jazbon ki fahrist kya murattab ho
shumaar mein jo nahin be-shumaar vo bhi hain

dil-e-tabah ye aasaar hain qayamat ke
raheen-e-gardish-e-lail-o-nahaar vo bhi hain

hareem-e-husn ki tazain the jo paikar-e-naaz
b-haal-e-zaar sar-e-rahguzaar vo bhi hain

vo jin se aam hui daastaan-e-ahd-e-junoon
tire gunah dil-e-na-karda-kaar vo bhi hain

मैं दिल-ज़दा हूँ अगर दिल-फ़िगार वो भी हैं
कि दर्द-ए-इश्क़ के अब दावेदार वो भी हैं

हुआ है जिन के करम से दिल ओ नज़र का ज़ियाँ
ब-फ़ैज़-ए-वक़्त मिरे ग़म-गुसार वो भी हैं

शहीद जज़्बों की फ़हरिस्त क्या मुरत्तब हो
शुमार में जो नहीं बे-शुमार वो भी हैं

दिल-ए-तबाह! ये आसार हैं क़यामत के
रहीन-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार वो भी हैं

हरीम-ए-हुस्न की तज़ईन थे जो पैकर-ए-नाज़
ब-हाल-ए-ज़ार सर-ए-रहगुज़ार वो भी हैं

वो जिन से आम हुई दास्तान-ए-अहद-ए-जुनूँ
तिरे गुनह दिल-ए-ना-कर्दा-कार वो भी हैं

  - Ahmad Rahi

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari