jinhen raas aa gaye hain ye seher-numa andhere | जिन्हें रास आ गए हैं ये सहर-नुमा अँधेरे

  - Ahmad Rahi

jinhen raas aa gaye hain ye seher-numa andhere
ye talaash-e-subh-e-nau mein kabhi hum-safar the mere

theen jo qatl-gaahen un ki hain wahi qayaam-gaahen
the jo rahzano ke maskan hain vo rahbaro'n ke deray

main jahaan-e-be-dili mein kahaan le ke jaaun dil ko
mere dil ki ghaat mein hain yahan chaar-soo lutere

ai shabon ke paasbaanon main ye tum se poochta hoon
jinhen poojte rahe ho vo kahaan gaye savere

are main to be-nava hoon jo kabhi na bik sakega
are tum sunaar ho kar yahan ban gaye kaseere

जिन्हें रास आ गए हैं ये सहर-नुमा अँधेरे
ये तलाश-ए-सुब्ह-ए-नौ में कभी हम-सफ़र थे मेरे

थीं जो क़त्ल-गाहें उन की हैं वही क़याम-गाहें
थे जो रहज़नों के मस्कन हैं वो रहबरों के डेरे

मैं जहान-ए-बे-दिली में कहाँ ले के जाऊँ दिल को
मिरे दिल की घात में हैं यहाँ चार-सू लुटेरे

ऐ शबों के पासबानों मैं ये तुम से पूछता हूँ
जिन्हें पूजते रहे हो वो कहाँ गए सवेरे

अरे मैं तो बे-नवा हूँ जो कभी न बिक सकेगा
अरे तुम सुनार हो कर यहाँ बन गए कसीरे

  - Ahmad Rahi

Subah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Subah Shayari Shayari