dil ke veeraan raaste bhi dekh | दिल के वीरान रास्ते भी देख

  - Ahmad Rahi

dil ke veeraan raaste bhi dekh
aankh ki maar se pare bhi dekh

chaar soo goonjte hain sannaate
kabhi sunsaan maqabre bhi dekh

kaanpati hain love charaagon ki
raushni ko qareeb se bhi dekh

sozish-e-furqat-e-musalsal se
aanch dete hain qahqahe bhi dekh

band honton ki nagmgi bhi sun
soti aankhon ke ratjage bhi dekh

dekhna ho agar kamaal apna
aaina dekh kar mujhe bhi dekh

दिल के वीरान रास्ते भी देख
आँख की मार से परे भी देख

चार सू गूँजते हैं सन्नाटे
कभी सुनसान मक़बरे भी देख

काँपती हैं लवें चराग़ों की
रौशनी को क़रीब से भी देख

सोज़िश-ए-फ़ुर्क़त-ए-मुसलसल से
आँच देते हैं क़हक़हे भी देख

बंद होंटों की नग़्मगी भी सुन
सोती आँखों के रतजगे भी देख

देखना हो अगर कमाल अपना
आईना देख कर मुझे भी देख

  - Ahmad Rahi

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari