gardish-e-jaam nahin gardish-e-ayyaam to hai
saii-e-naakaam sahi phir bhi koi kaam to hai
dil ki betaabi ka aakhir kahi anjaam to hai
meri qismat mein nahin dehr mein aaraam to hai
mail-e-lutf-o-karam husn-e-dil-aaraam to hai
meri khaatir na sahi koi sar-e-baam to hai
tu nahin mera maseeha mera qaateel hi sahi
mujh se waabasta kisi taur tira naam to hai
halqa-e-mauj mein ik aur safeena aaya
saahil-e-bahr pe kohraam ka hangaam to hai
tang-dasto tahee-daamano karo shukr-e-khuda
may-e-gulfaam nahin hai shafaq-e-shaam to hai
गर्दिश-ए-जाम नहीं गर्दिश-ए-अय्याम तो है
सई-ए-नाकाम सही फिर भी कोई काम तो है
दिल की बेताबी का आख़िर कहीं अंजाम तो है
मेरी क़िस्मत में नहीं दहर में आराम तो है
माइल-ए-लुत्फ़-ओ-करम हुस्न-ए-दिल-आराम तो है
मेरी ख़ातिर न सही कोई सर-ए-बाम तो है
तू नहीं मेरा मसीहा मिरा क़ातिल ही सही
मुझ से वाबस्ता किसी तौर तिरा नाम तो है
हल्क़ा-ए-मौज में इक और सफ़ीना आया
साहिल-ए-बहर पे कोहराम का हंगाम तो है
तंग-दस्तो तही-दामानो करो शुक्र-ए-ख़ुदा
मय-ए-गुलफ़ाम नहीं है शफ़क़-ए-शाम तो है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Sach Shayari Shayari