dil ke sunsaan jazeeron ki khabar laayega
dard pahluu se juda ho ke kahaan jaayega
kaun hota hai kisi ka shab-e-tanhaai mein
gham-e-furqat hi gham-e-ishq ko bahlaayega
chaand ke pahluu mein dam saadh ke roti hai kiran
aaj taaron ka fusoon khaak nazar aayega
raag mein aag dabii hai gham-e-mehroomi ki
raakh hokar bhi ye shola hamein sulgaayega
waqt khaamosh hai roothe hue yaaron ki tarah
kaun lau dete hue zakhamon ko sahlaayega
zindagi chal ki zara maut ke dam-kham dekhen
warna ye jazba lahd tak hamein le jaayega
दिल के सुनसान जज़ीरों की ख़बर लाएगा
दर्द पहलू से जुदा हो के कहाँ जाएगा
कौन होता है किसी का शब-ए-तन्हाई में
ग़म-ए-फ़ुर्क़त ही ग़म-ए-इश्क़ को बहलाएगा
चाँद के पहलू में दम साध के रोती है किरन
आज तारों का फ़ुसूँ ख़ाक नज़र आएगा
राग में आग दबी है ग़म-ए-महरूमी की
राख होकर भी ये शोला हमें सुलगाएगा
वक़्त ख़ामोश है रूठे हुए यारों की तरह
कौन लौ देते हुए ज़ख़्मों को सहलाएगा
ज़िंदगी चल कि ज़रा मौत के दम-ख़म देखें
वर्ना ये जज़्बा लहद तक हमें ले जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Aah Shayari Shayari