gham-e-hayaat mein koi kami nahin aayi
nazar-fareb thi teri jamaal-aaraai
vo dastaan jo tiri dilkashi ne chhedi thi
hazaar baar meri saadgi ne dohraai
fasaane aam sahi meri chashm-e-haira'n ke
tamasha bante rahe hain yahan tamaashaai
tiri wafa tiri majbooriyaan baja lekin
ye sozish-e-gham-e-hijraan ye sard tanhaai
kisi ke husn-e-tamanna ka paas hai warna
mujhe khayaal-e-jahaan hai na khof-e-ruswaai
main sochta hoon zamaane ka haal kya hoga
agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhaai
kahi ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aayi
ग़म-ए-हयात में कोई कमी नहीं आई
नज़र-फ़रेब थी तेरी जमाल-आराई
वो दास्ताँ जो तिरी दिलकशी ने छेड़ी थी
हज़ार बार मिरी सादगी ने दोहराई
फ़साने आम सही मेरी चश्म-ए-हैराँ के
तमाशा बनते रहे हैं यहाँ तमाशाई
तिरी वफ़ा तिरी मजबूरियाँ बजा लेकिन
ये सोज़िश-ए-ग़म-ए-हिज्राँ ये सर्द तन्हाई
किसी के हुस्न-ए-तमन्ना का पास है वर्ना
मुझे ख़याल-ए-जहाँ है न ख़ौफ़-ए-रुस्वाई
मैं सोचता हूँ ज़माने का हाल क्या होगा
अगर ये उलझी हुई ज़ुल्फ़ तू ने सुलझाई
कहीं ये अपनी मोहब्बत की इंतिहा तो नहीं
बहुत दिनों से तिरी याद भी नहीं आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Zulf Shayari Shayari