kabhi tiri kabhi apni hayaat ka gham hai | कभी तिरी कभी अपनी हयात का ग़म है

  - Ahmad Rahi

kabhi tiri kabhi apni hayaat ka gham hai
har ek rang mein naakaamiyon ka maatam hai

khayal tha tire pahluu mein kuchh sukoon hoga
magar yahan bhi wahi iztiraab paiham hai

mere mazaq-e-alam-aashna ka kya hoga
tiri nigaah mein sholay hain ab na shabnam hai

sehar se rishta-e-ummeed baandhne waale
charaagh-e-zeest ki lau shaam hi se madhham hai

ye kis maqaam pe le aayi zindagi raahi
ki har qadam pe ajab bebaasi ka aalam hai

कभी तिरी कभी अपनी हयात का ग़म है
हर एक रंग में नाकामियों का मातम है

ख़याल था तिरे पहलू में कुछ सुकूँ होगा
मगर यहाँ भी वही इज़्तिराब पैहम है

मिरे मज़ाक़-ए-अलम-आश्ना का क्या होगा
तिरी निगाह में शो'ले हैं अब न शबनम है

सहर से रिश्ता-ए-उम्मीद बाँधने वाले
चराग़-ए-ज़ीस्त की लौ शाम ही से मद्धम है

ये किस मक़ाम पे ले आई ज़िंदगी 'राही'
कि हर क़दम पे अजब बेबसी का आलम है

  - Ahmad Rahi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari