aam hai koocha-o-baazaar mein sarkaar ki baat
ab sar-e-raah bhi hoti hai sar-e-daar ki baat
ham jo karte hain kahi misr ke bazaar ki baat
log pa lete hain yusuf ke khareedaar ki baat
muddaton lab pe rahi nargis-e-beemaar ki baat
kijie ahl-e-chaman ab khalish-e-khaar ki baat
gunche dil-tang hawa band nasheeman veeraan
bais-e-marg hai mere liye gham-khwaar ki baat
boo-e-gul le ke saba kunj-e-qafas tak pahunchee
laakh pardo mein bhi phaili shab-e-gulzaar ki baat
zindagi dard mein doobi hui lay hai raahi
aise aalam mein kise yaad rahe pyaar ki baat
आम है कूचा-ओ-बाज़ार में सरकार की बात
अब सर-ए-राह भी होती है सर-ए-दार की बात
हम जो करते हैं कहीं मिस्र के बाज़ार की बात
लोग पा लेते हैं यूसुफ़ के ख़रीदार की बात
मुद्दतों लब पे रही नर्गिस-ए-बीमार की बात
कीजिए अहल-ए-चमन अब ख़लिश-ए-ख़ार की बात
ग़ुंचे दिल-तंग हवा बंद नशेमन वीराँ
बाइस-ए-मर्ग है मेरे लिए ग़म-ख़्वार की बात
बू-ए-गुल ले के सबा कुंज-ए-क़फ़स तक पहुँची
लाख पर्दों में भी फैली शब-ए-गुलज़ार की बात
ज़िंदगी दर्द में डूबी हुई लय है 'राही'
ऐसे आलम में किसे याद रहे प्यार की बात
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Baaten Shayari Shayari