tanhaaiyon ke dasht mein akshar mila mujhe
vo shakhs jis ne kar diya mujh se juda mujhe
waarftagi meri hai ki hai intiha-e-shauq
us ki gali ko le gaya har raasta mujhe
jaise ho koi chehra naya us ke roo-b-roo
yun dekhta raha mera har aashna mujhe
harf-e-ghalat samajh ke jo mujh ko mita gaya
us jaisa us ke b'ad na koi laga mujhe
pehle hi mujh pe kam nahin teri inaayaten
dam lene de ai gardish-e-dauraan zara mujhe
mushkil mujhe doobna kinaare pe bhi na tha
naahak bhanwar mein laaya mera nakhuda mujhe
ye zindagi ki maut bhi hai jis pe nauha-khwaan
kis jurm ki na jaane mili hai saza mujhe
तन्हाइयों के दश्त में अक्सर मिला मुझे
वो शख़्स जिस ने कर दिया मुझ से जुदा मुझे
वारफ़्तगी मिरी है कि है इंतिहा-ए-शौक़
उस की गली को ले गया हर रास्ता मुझे
जैसे हो कोई चेहरा नया उस के रू-ब-रू
यूँ देखता रहा मिरा हर आश्ना मुझे
हर्फ़-ए-ग़लत समझ के जो मुझ को मिटा गया
उस जैसा उस के ब'अद न कोई लगा मुझे
पहले ही मुझ पे कम नहीं तेरी इनायतें
दम लेने दे ऐ गर्दिश-ए-दौराँ ज़रा मुझे
मुश्किल मुझे डूबना किनारे पे भी न था
नाहक़ भँवर में लाया मिरा नाख़ुदा मुझे
ये ज़िंदगी कि मौत भी है जिस पे नौहा-ख़्वाँ
किस जुर्म की न जाने मिली है सज़ा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Dost Shayari Shayari