ye daastaan-e-gham-e-dil kahaan kahi jaaye | ये दास्तान-ए-ग़म-ए-दिल कहाँ कही जाए

  - Ahmad Rahi

ye daastaan-e-gham-e-dil kahaan kahi jaaye
yahan to khul ke koi baat bhi na ki jaaye

tumhaare haath sahi faisla magar phir bhi
zara aseer ki roodaad to sooni jaaye

ye raat din ka tadapna bhi kya qayamat hai
jo tum nahin to tumhaara khayal bhi jaaye

ab is se badh ke bhala aur kya sitam hoga
zabaan khul na sake aankh dekhti jaaye

ye chaak chaak garebaan nahin hai deewane
jise bas ek chhalkati nazar hi si jaaye

koi sabeel ki ye seher-e-jaan-gusil toote
koi ilaaj ki ye daur-e-bebasi jaaye

ये दास्तान-ए-ग़म-ए-दिल कहाँ कही जाए
यहाँ तो खुल के कोई बात भी न की जाए

तुम्हारे हाथ सही फ़ैसला मगर फिर भी
ज़रा असीर की रूदाद तो सुनी जाए

ये रात दिन का तड़पना भी क्या क़यामत है
जो तुम नहीं तो तुम्हारा ख़याल भी जाए

अब इस से बढ़ के भला और क्या सितम होगा
ज़बान खुल न सके आँख देखती जाए

ये चाक चाक गरेबाँ नहीं है दीवाने
जिसे बस एक छलकती नज़र ही सी जाए

कोई सबील कि ये सेहर-ए-जाँ-गुसिल टूटे
कोई इलाज कि ये दौर-ए-बेबसी जाए

  - Ahmad Rahi

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari