din guzarta hai kahaan raat kahaan hoti hai
dard ke maaron se ab baat kahaan hoti hai
ek se chehre to hote hain kai duniya mein
ek si soorat-e-haalat kahaan hoti hai
zindagi ke vo kisi mod pe gahe gahe
mil to jaate hain mulaqaat kahaan hoti hai
aasmaanon se koi boond nahin barsegi
jalte seharaaon mein barsaat kahaan hoti hai
yun to auron ki bahut baatein sunaaien un ko
apni jo baat hai vo baat kahaan hoti hai
jaisi aaghaaz-e-mohabbat mein hua karti hai
waisi phir shiddat-e-jazbaat kahaan hoti hai
pyaar ki aag bana deti hai kundan jin ko
un ke zehnon mein bhala zaat kahaan hoti hai
दिन गुज़रता है कहाँ रात कहाँ होती है
दर्द के मारों से अब बात कहाँ होती है
एक से चेहरे तो होते हैं कई दुनिया में
एक सी सूरत-ए-हालात कहाँ होती है
ज़िंदगी के वो किसी मोड़ पे गाहे गाहे
मिल तो जाते हैं मुलाक़ात कहाँ होती है
आसमानों से कोई बूँद नहीं बरसेगी
जलते सहराओं में बरसात कहाँ होती है
यूँ तो औरों की बहुत बातें सुनाईं उन को
अपनी जो बात है वो बात कहाँ होती है
जैसी आग़ाज़-ए-मोहब्बत में हुआ करती है
वैसी फिर शिद्दत-ए-जज़्बात कहाँ होती है
प्यार की आग बना देती है कुंदन जिन को
उन के ज़ेहनों में भला ज़ात कहाँ होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Baaten Shayari Shayari