koi hasrat bhi nahin koi tamannaa bhi nahin
dil vo aansu jo kisi aankh se chhalaka bhi nahin
rooth kar baith gai himmat-e-dushwaar-pasand
raah mein ab koi jalta hua sehra bhi nahin
aage kuchh log hamein dekh ke hans dete the
ab ye aalam hai koi dekhne waala bhi nahin
dard vo aag ki bujhti nahin jaltee bhi nahin
yaad vo zakham ki bharta nahin rishta bhi nahin
baadbaan khol ke baithe hain safeenon waale
paar utarne ke liye halka sa jhonka bhi nahin
कोई हसरत भी नहीं कोई तमन्ना भी नहीं
दिल वो आँसू जो किसी आँख से छलका भी नहीं
रूठ कर बैठ गई हिम्मत-ए-दुश्वार-पसंद
राह में अब कोई जलता हुआ सहरा भी नहीं
आगे कुछ लोग हमें देख के हँस देते थे
अब ये आलम है कोई देखने वाला भी नहीं
दर्द वो आग कि बुझती नहीं जलती भी नहीं
याद वो ज़ख़्म कि भरता नहीं रिसता भी नहीं
बादबाँ खोल के बैठे हैं सफ़ीनों वाले
पार उतरने के लिए हल्का सा झोंका भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Dard Shayari Shayari