din ko rahte jheel par dariya kinaare raat ko
yaad rakhna chaand taaro is hamaari baat ko
ab kahaan vo mahfilein hain ab kahaan vo hum-nasheen
ab kahaan se laayein un guzre hue lamhaat ko
pad chuki hain utni girhen kuchh samajh aata nahin
kaise suljhaayen bhala uljhe hue haalaat ko
kitni toofaani theen raatein jin mein do deewane dil
thapkiyaan dete rahe bhadke hue jazbaat ko
dard mein doobi hui lay ban gai hai zindagi
bhool jaate kaash ham ulfat-bhare naghmaat ko
vo ki apne pyaar ki thi bheegi bheegi ibtida
yaad kar ke ro diya dil aaj us barsaat ko
दिन को रहते झील पर दरिया किनारे रात को
याद रखना चाँद तारो इस हमारी बात को
अब कहाँ वो महफ़िलें हैं अब कहाँ वो हम-नशीं
अब कहाँ से लाएँ उन गुज़रे हुए लम्हात को
पड़ चुकी हैं उतनी गिर्हें कुछ समझ आता नहीं
कैसे सुलझाएँ भला उलझे हुए हालात को
कितनी तूफ़ानी थीं रातें जिन में दो दीवाने दिल
थपकियाँ देते रहे भड़के हुए जज़्बात को
दर्द में डूबी हुई लय बन गई है ज़िंदगी
भूल जाते काश हम उल्फ़त-भरे नग़्मात को
वो कि अपने प्यार की थी भीगी भीगी इब्तिदा
याद कर के रो दिया दिल आज उस बरसात को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rahi
our suggestion based on Ahmad Rahi
As you were reading Chaand Shayari Shayari