koi maazi ke jharokon se sada deta hai | कोई माज़ी के झरोकों से सदा देता है

  - Ahmad Rahi

koi maazi ke jharokon se sada deta hai
sard padte hue sholon ko hawa deta hai

dil-e-afsurda ka har gosha chanak uthata hai
zehan jab yaadon ki zanjeer hila deta hai

haal-e-dil kitna hi insaan chhupaaye yaaro
haal-e-dil us ka to chehra hi bata deta hai

kisi bichhde hue khoye hue hamdam ka khayal
kitne soye hue jazbon ko jaga deta hai

ek lamha bhi guzar saka na ho jis ke baghair
koi us shakhs ko kis tarah bhula deta hai

waqt ke saath guzar jaata hai har ik sadma
waqt har zakham ko har gham ko mita deta hai

कोई माज़ी के झरोकों से सदा देता है
सर्द पड़ते हुए शोलों को हवा देता है

दिल-ए-अफ़सुर्दा का हर गोशा छनक उठता है
ज़ेहन जब यादों की ज़ंजीर हिला देता है

हाल-ए-दिल कितना ही इंसान छुपाए यारो
हाल-ए-दिल उस का तो चेहरा ही बता देता है

किसी बिछड़े हुए खोए हुए हमदम का ख़याल
कितने सोए हुए जज़्बों को जगा देता है

एक लम्हा भी गुज़र सकता न हो जिस के बग़ैर
कोई उस शख़्स को किस तरह भुला देता है

वक़्त के साथ गुज़र जाता है हर इक सदमा
वक़्त हर ज़ख़्म को हर ग़म को मिटा देता है

  - Ahmad Rahi

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rahi

As you were reading Shayari by Ahmad Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rahi

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari