haan nahin ke beech dhundlaai si shaam | हाँ नहीं के बीच धुँदलाई सी शाम - Ahsan Yusuf Zai

haan nahin ke beech dhundlaai si shaam
saaye saaye mein hai shabnam sa qayaam

chehre aankhen hont hanste hain tamaam
basti basti tohmat-e-aawaara-gaam

raushni ki baazyaabi aftaab
tootne waale sitaare tera naam

harf-o-lab maaloom samton ke naqeeb
dil safeer-e-naa-gahaan samt-e-kalaam

kaainaat-e-lams maujood-o-adam
kuch na hona bhi hua itna tamaam

हाँ नहीं के बीच धुँदलाई सी शाम
साए साए में है शबनम सा क़याम

चेहरे आँखें होंट हँसते हैं तमाम
बस्ती बस्ती तोहमत-ए-आवारा-गाम

रौशनी की बाज़याबी आफ़्ताब
टूटने वाले सितारे तेरा नाम

हर्फ़-ओ-लब मालूम सम्तों के नक़ीब
दिल सफ़ीर-ए-ना-गहाँ सम्त-ए-कलाम

काइनात-ए-लम्स मौजूद-ओ-अदम
कुछ न होना भी हुआ इतना तमाम

- Ahsan Yusuf Zai
0 Likes

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Yusuf Zai

As you were reading Shayari by Ahsan Yusuf Zai

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Yusuf Zai

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari