shab-rang parinde rag-o-reshe mein utar jaayen
kohsaar agar meri jagah hon to bikhar jaayen
har samt siyah gard ki chadar si tanee hai
suraj ke musaafir bhi idhar aayein to mar jaayen
sab khel hawaon ke ishaaron pe hai warna
maujen kahaan mukhtar ki jee chahe jidhar jaayen
is dasht mein paani ke siva dhoondhna kya hai
aankhon mein meri ret ke sau zaa'iqe bhar jaayen
saaye ki tarah saath hi chalta hai siyah-bakht
ab haath ki bechaari lakeeren bhi kidhar jaayen
शब-रंग परिंदे रग-ओ-रेशे में उतर जाएँ
कोहसार अगर मेरी जगह हों तो बिखर जाएँ
हर सम्त सियह गर्द की चादर सी तनी है
सूरज के मुसाफ़िर भी इधर आएँ तो मर जाएँ
सब खेल हवाओं के इशारों पे है वर्ना
मौजें कहाँ मुख़्तार कि जी चाहे जिधर जाएँ
इस दश्त में पानी के सिवा ढूँढना क्या है
आँखों में मिरी रेत के सौ ज़ाइक़े भर जाएँ
साए की तरह साथ ही चलता है सियह-बख़्त
अब हाथ की बेचारी लकीरें भी किधर जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Yusuf Zai
our suggestion based on Ahsan Yusuf Zai
As you were reading Relationship Shayari Shayari