tumhein khayal-e-zaat hai shoor-e-zaat hi nahin | तुम्हें ख़याल-ए-ज़ात है शुऊर-ए-ज़ात ही नहीं - Aitbar Sajid

tumhein khayal-e-zaat hai shoor-e-zaat hi nahin
khata muaaf ye tumhaare bas ki baat hi nahin

ghazal fazaa bhi dhundti hai apne khaas rang ki
hamaara mas'ala faqat qalam davaat hi nahin

hamaari saaton ke hissa-daar aur log hain
hamaare saamne faqat hamaari zaat hi nahin

varq varq pe diary mein aansuon ka nam bhi hai
ye sirf baarishon se bheege kaagazaat hi nahin

kahaaniyon ka roop de ke hum jinhen suna saken
hamaari zindagi mein aise waqiaat hi nahin

kisi ka naam aa gaya tha yoonhi darmiyaan mein
ab is ka zikr kya karein jab aisi baat hi nahin

तुम्हें ख़याल-ए-ज़ात है शुऊर-ए-ज़ात ही नहीं
ख़ता मुआफ़ ये तुम्हारे बस की बात ही नहीं

ग़ज़ल फ़ज़ा भी ढूँडती है अपने ख़ास रंग की
हमारा मसअला फ़क़त क़लम दवात ही नहीं

हमारी साअतों के हिस्सा-दार और लोग हैं
हमारे सामने फ़क़त हमारी ज़ात ही नहीं

वरक़ वरक़ पे डाइरी में आँसुओं का नम भी है
ये सिर्फ़ बारिशों से भीगे काग़ज़ात ही नहीं

कहानियों का रूप दे के हम जिन्हें सुना सकें
हमारी ज़िंदगी में ऐसे वाक़िआत ही नहीं

किसी का नाम आ गया था यूँही दरमियान में
अब इस का ज़िक्र क्या करें जब ऐसी बात ही नहीं

- Aitbar Sajid
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari