kaha din ko bhi ye ghar kis liye veeraan rehta hai | कहा दिन को भी ये घर किस लिए वीरान रहता है

  - Aitbar Sajid

kaha din ko bhi ye ghar kis liye veeraan rehta hai
yahan kya ham sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai

dar-o-deewar sannaate ki chadar mein hain khwaabida
bhala aisi jagah zinda koi insaan rehta hai

musalsal poochne par ek chilman se jawaab aaya
yahan ik dil-shikasta saahib-e-deewaan rehta hai

jhijak kar main ne poocha kya kabhi baahar nahin aata
jawaab aaya use khilwat mein itminaan rehta hai

kaha kya us ke rishta-daar bhi milne nahin aate
jawaab aaya ye sehra raat-din sunsaan rehta hai

kaha koi to hoga us ke dukh-sukh baantne waala
jawaab aaya nahin khaali ye ghar ye lawn rehta hai

kaha is ghar ke aangan mein hain kuchh phoolon ke paude bhi
jawaab aaya ki khaali phir bhi har gul-daan rehta hai

kaha kya is mohalle mein nahin pursaan-e-haal us ka
jawaab aaya khayal us ka mujhe har aan rehta hai

khuda ka shukr hai ham ik fazaa mein saans lete hain
agar milte nahin itna to itminaan rehta hai

कहा दिन को भी ये घर किस लिए वीरान रहता है
यहाँ क्या हम सा कोई बे-सर-ओ-सामान रहता है

दर-ओ-दीवार सन्नाटे की चादर में हैं ख़्वाबीदा
भला ऐसी जगह ज़िंदा कोई इंसान रहता है

मुसलसल पूछने पर एक चिलमन से जवाब आया
यहाँ इक दिल-शिकस्ता साहब-ए-दीवान रहता है

झिजक कर मैं ने पूछा क्या कभी बाहर नहीं आता
जवाब आया उसे ख़ल्वत में इत्मीनान रहता है

कहा क्या उस के रिश्ता-दार भी मिलने नहीं आते
जवाब आया ये सहरा रात-दिन सुनसान रहता है

कहा कोई तो होगा उस के दुख-सुख बाँटने वाला
जवाब आया नहीं ख़ाली ये घर ये लॉन रहता है

कहा इस घर के आँगन में हैं कुछ फूलों के पौदे भी
जवाब आया कि ख़ाली फिर भी हर गुल-दान रहता है

कहा क्या इस मोहल्ले में नहीं पुर्सान-ए-हाल उस का
जवाब आया ख़याल उस का मुझे हर आन रहता है

ख़ुदा का शुक्र है हम इक फ़ज़ा में साँस लेते हैं
अगर मिलते नहीं इतना तो इत्मीनान रहता है

  - Aitbar Sajid

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari