aankhon se ayaan zakham ki gehraai to ab hai
ab aa bhi chuko waqt-e-masihaai to ab hai
pehle gham-e-furqat ke ye tevar to nahin the
rag rag mein utarti hui tanhaai to ab hai
taari hai tamannaon pe sakraat ka aalam
har saans rifaqat ki tamannaai to ab hai
kal tak meri vehshat se faqat tum hi the aagaah
har gaam pe andesha-e-ruswaai to ab hai
kya jaane mehkati hui subhon mein koi dil
shaamon mein kisi dard ki raanaai to ab hai
dil-soz ye taare hain to jaan-soz ye mahtaab
dar-asal shab-e-anjuman-aaraai to ab hai
saf-basta hain har mod pe kuchh sang-b-kaf log
ai zakhm-e-hunar lutf-e-pazeeraai to ab hai
आँखों से अयाँ ज़ख़्म की गहराई तो अब है
अब आ भी चुको वक़्त-ए-मसीहाई तो अब है
पहले ग़म-ए-फ़ुर्क़त के ये तेवर तो नहीं थे
रग रग में उतरती हुई तन्हाई तो अब है
तारी है तमन्नाओं पे सकरात का आलम
हर साँस रिफ़ाक़त की तमन्नाई तो अब है
कल तक मिरी वहशत से फ़क़त तुम ही थे आगाह
हर गाम पे अंदेशा-ए-रुस्वाई तो अब है
क्या जाने महकती हुई सुब्हों में कोई दिल
शामों में किसी दर्द की रानाई तो अब है
दिल-सोज़ ये तारे हैं तो जाँ-सोज़ ये महताब
दर-असल शब-ए-अंजुमन-आराई तो अब है
सफ़-बस्ता हैं हर मोड़ पे कुछ संग-ब-कफ़ लोग
ऐ ज़ख़्म-ए-हुनर लुत्फ़-ए-पज़ीराई तो अब है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Aadmi Shayari Shayari