ye barson ka taalluq tod dena chahte hain ham
ab apne aap ko bhi chhod dena chahte hain ham
kisi dahleez par aankhon ke ye raushan diye rakh kar
zameer-e-subh ko jhinjhod dena chahte hain ham
jidhar ham ja rahe hain us taraf toota hua pul hai
ye baagen is se pehle mod dena chahte hain ham
ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahin honge
maraasim ehtiyaatan tod dena chahte hain ham
ajab deewaangi hai jis ke ham saaye mein baithe hain
usi deewaar se sar phod dena chahte hain ham
taalluq kirchiyon ki shakl mein bikhra to hai phir bhi
shikasta aainon ko jod dena chahte hain ham
ये बरसों का तअल्लुक़ तोड़ देना चाहते हैं हम
अब अपने आप को भी छोड़ देना चाहते हैं हम
किसी दहलीज़ पर आँखों के ये रौशन दिए रख कर
ज़मीर-ए-सुब्ह को झिंझोड़ देना चाहते हैं हम
जिधर हम जा रहे हैं उस तरफ़ टूटा हुआ पुल है
ये बागें इस से पहले मोड़ देना चाहते हैं हम
ये नौबत कल जो आनी है तो शर्मिंदा नहीं होंगे
मरासिम एहतियातन तोड़ देना चाहते हैं हम
अजब दीवानगी है जिस के हम साए में बैठे हैं
उसी दीवार से सर फोड़ देना चाहते हैं हम
तअल्लुक़ किर्चियों की शक्ल में बिखरा तो है फिर भी
शिकस्ता आईनों को जोड़ देना चाहते हैं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Ujaala Shayari Shayari