phir wahi lambi do-pahrein hain phir wahi dil ki haalat hai | फिर वही लम्बी दो-पहरें हैं फिर वही दिल की हालत है

  - Aitbar Sajid

phir wahi lambi do-pahrein hain phir wahi dil ki haalat hai
baahar kitna sannaata hai andar kitni vehshat hai

shaam karein kaise is din ki thandi soorat dekhen kin ki
idhar udhar to dhuaan udaati aag ugalati khilqat hai

jis ko ham ne chaaha tha vo kahi nahin is manzar mein
jis ne ham ko pyaar kiya vo saamne waali moorat hai

phool babool ke achhe hain lekin saakit tasveeron mein
sach much ke sehraaon ki to is dil jaisi soorat hai

tere baad dukano par main ja kar poochta rehta hoon
kya vo khushboo mil sakti hai ab us ki kya qeemat hai

bade bade sapne nahin boye main ne apne aangan mein
nanhi munni khushiyaan hain meri chhoti si ik jannat hai

फिर वही लम्बी दो-पहरें हैं फिर वही दिल की हालत है
बाहर कितना सन्नाटा है अंदर कितनी वहशत है

शाम करें कैसे इस दिन की ठंडी सूरत देखें किन की
इधर उधर तो धुआँ उड़ाती आग उगलती ख़िल्क़त है

जिस को हम ने चाहा था वो कहीं नहीं इस मंज़र में
जिस ने हम को प्यार किया वो सामने वाली मूरत है

फूल बबूल के अच्छे हैं लेकिन साकित तस्वीरों में
सच मुच के सेहराओं की तो इस दिल जैसी सूरत है

तेरे बाद दुकानों पर मैं जा कर पूछता रहता हूँ
क्या वो ख़ुशबू मिल सकती है अब उस की क्या क़ीमत है

बड़े बड़े सपने नहीं बोए मैं ने अपने आँगन में
नन्ही मुन्नी ख़ुशियाँ हैं मिरी छोटी सी इक जन्नत है

  - Aitbar Sajid

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari