kisi ne dil ke taq par jala ke rakh diya hamein
magar hawa-e-hijr ne bujha ke rakh diya hamein
hazaar ham ne zabt se liya tha kaam kya karein
kisi ke aansuon ne phir rula ke rakh diya hamein
hamaari shohraten kharab is tarah bhi us ne keen
ki apne aashnaon se mila ke rakh diya hamein
hamein is anjuman mein jaane us ne kyun bula liya
bula liya aur ik taraf bitha ke rakh diya hamein
faqat ham ek dekhne ki cheez ban ke rah gaye
kisi ne aisa ishq mein bana ke rakh diya hamein
ham e'tibaar us ki har shikast mein shareek the
magar bisaat se alag utha ke rakh diya hamein
किसी ने दिल के ताक़ पर जला के रख दिया हमें
मगर हवा-ए-हिज्र ने बुझा के रख दिया हमें
हज़ार हम ने ज़ब्त से लिया था काम क्या करें
किसी के आँसुओं ने फिर रुला के रख दिया हमें
हमारी शोहरतें ख़राब इस तरह भी उस ने कीं
कि अपने आश्नाओं से मिला के रख दिया हमें
हमें इस अंजुमन में जाने उस ने क्यूँ बुला लिया
बुला लिया और इक तरफ़ बिठा के रख दिया हमें
फ़क़त हम एक देखने की चीज़ बन के रह गए
किसी ने ऐसा इश्क़ में बना के रख दिया हमें
हम 'ए'तिबार' उस की हर शिकस्त में शरीक थे
मगर बिसात से अलग उठा के रख दिया हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Charagh Shayari Shayari