bahut sajaaye the aankhon mein khwaab main ne bhi | बहुत सजाए थे आँखों में ख़्वाब मैं ने भी

  - Aitbar Sajid

bahut sajaaye the aankhon mein khwaab main ne bhi
sahe hain us ke liye ye azaab main ne bhi

judaaiyon ki khalish us ne bhi na zaahir ki
chhupaaye apne gham o iztiraab main ne bhi

diye bujha ke sar-e-shaam so gaya tha vo
bitaai so ke shab-e-mahtaab main ne bhi

yahi nahin ki mujhe us ne dard-e-hijr diya
judaaiyon ka diya hai jawaab main ne bhi

kisi ne khoon mein tar choodiyaan jo bheji hain
likhi hai khoon-e-jigar se kitaab main ne bhi

khizaan ka vaar bahut kaar-gar tha dil pe magar
bahut bacha ke rakha ye gulaab main ne bhi

बहुत सजाए थे आँखों में ख़्वाब मैं ने भी
सहे हैं उस के लिए ये अज़ाब मैं ने भी

जुदाइयों की ख़लिश उस ने भी न ज़ाहिर की
छुपाए अपने ग़म ओ इज़्तिराब मैं ने भी

दिए बुझा के सर-ए-शाम सो गया था वो
बिताई सो के शब-ए-माहताब मैं ने भी

यही नहीं कि मुझे उस ने दर्द-ए-हिज्र दिया
जुदाइयों का दिया है जवाब मैं ने भी

किसी ने ख़ून में तर चूड़ियाँ जो भेजी हैं
लिखी है ख़ून-ए-जिगर से किताब मैं ने भी

ख़िज़ाँ का वार बहुत कार-गर था दिल पे मगर
बहुत बचा के रखा ये गुलाब मैं ने भी

  - Aitbar Sajid

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari