muhtaaj hum-safar ki masafat na thi meri | मुहताज हम-सफ़र की मसाफ़त न थी मिरी

  - Aitbar Sajid

muhtaaj hum-safar ki masafat na thi meri
sab saath the kisi se rifaqat na thi meri

haq kis se maangata ki makeenon ke saath saath
deewaar-o-baam-o-dar ko zaroorat na thi meri

sach bol ke bhi dekh liya un ke saamne
lekin unhen pasand sadaqat na thi meri

main jin pe mar mita tha vo kaaghaz ke phool the
rasmi mukaalme the mohabbat na thi meri

jo doosron ke dukh the wahi mere dukh bhi the
kuchh aisi mukhtalif bhi hikaayat na thi meri

bas kuchh usool the jo b-har-haal the aziz
jaanam kisi se warna adavat na thi meri

मुहताज हम-सफ़र की मसाफ़त न थी मिरी
सब साथ थे किसी से रिफ़ाक़त न थी मिरी

हक़ किस से माँगता कि मकीनों के साथ साथ
दीवार-ओ-बाम-ओ-दर को ज़रूरत न थी मिरी

सच बोल के भी देख लिया उन के सामने
लेकिन उन्हें पसंद सदाक़त न थी मिरी

मैं जिन पे मर मिटा था वो काग़ज़ के फूल थे
रस्मी मुकालमे थे मोहब्बत न थी मिरी

जो दूसरों के दुख थे वही मेरे दुख भी थे
कुछ ऐसी मुख़्तलिफ़ भी हिकायत न थी मिरी

बस कुछ उसूल थे जो ब-हर-हाल थे अज़ीज़
जानम किसी से वर्ना अदावत न थी मिरी

  - Aitbar Sajid

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari