jaane kis chaah ke kis pyaar ke gun gaate ho
raat din kaun se dildaar ke gun gaate ho
ye to dekho ki tumhein loot liya hai us ne
ik tabassum pe khareedaar ke gun gaate ho
apni tanhaai pe naazaan ho mere saada-mizaaj
apne soone dar o deewaar ke gun gaate ho
apne hi zehan ki takhleeq pe itne sarshaar
apne afsaanvi kirdaar ke gun gaate ho
aur logon ke bhi ghar hote hain ghar waale bhi
sirf apne dar o deewaar ke gun gaate ho
जाने किस चाह के किस प्यार के गुन गाते हो
रात दिन कौन से दिलदार के गुन गाते हो
ये तो देखो कि तुम्हें लूट लिया है उस ने
इक तबस्सुम पे ख़रीदार के गुन गाते हो
अपनी तन्हाई पे नाज़ाँ हो मिरे सादा-मिज़ाज
अपने सूने दर ओ दीवार के गुन गाते हो
अपने ही ज़ेहन की तख़्लीक़ पे इतने सरशार
अपने अफ़्सानवी किरदार के गुन गाते हो
और लोगों के भी घर होते हैं घर वाले भी
सिर्फ़ अपने दर ओ दीवार के गुन गाते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Wahshat Shayari Shayari