tire jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha | तिरे जैसा मेरा भी हाल था न सुकून था न क़रार था - Aitbar Sajid

tire jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
yahi umr thi mere hum-nasheen ki kisi se mujh ko bhi pyaar tha

main samajh raha hoon tiri kasak tira mera dard hai mushtarik
isee gham ka tu bhi aseer hai isee dukh ka main bhi shikaar tha

faqat ek dhun thi ki raat-din isee khwaab-zaar mein gum rahein
vo suroor aisa suroor tha vo khumaar aisa khumaar tha

kabhi lamha-bhar ki bhi guftugoo meri us ke saath na ho saki
mujhe fursatein nahin mil sakeen vo hawa ke rath par sawaar tha

hum ajeeb tarz ke log the ki hamaare aur hi rog the
main khizaan mein us ka tha muntazir use intizaar-e-bahaar tha

use padh ke tum na samajh sake ki meri kitaab ke roop mein
koi qarz tha kai saal ka kai rat-jagon ka udhaar tha

तिरे जैसा मेरा भी हाल था न सुकून था न क़रार था
यही उम्र थी मिरे हम-नशीं कि किसी से मुझ को भी प्यार था

मैं समझ रहा हूँ तिरी कसक तिरा मेरा दर्द है मुश्तरक
इसी ग़म का तू भी असीर है इसी दुख का मैं भी शिकार था

फ़क़त एक धुन थी कि रात-दिन इसी ख़्वाब-ज़ार में गुम रहें
वो सुरूर ऐसा सुरूर था वो ख़ुमार ऐसा ख़ुमार था

कभी लम्हा-भर की भी गुफ़्तुगू मिरी उस के साथ न हो सकी
मुझे फ़ुर्सतें नहीं मिल सकीं वो हवा के रथ पर सवार था

हम अजीब तर्ज़ के लोग थे कि हमारे और ही रोग थे
मैं ख़िज़ाँ में उस का था मुंतज़िर उसे इंतिज़ार-ए-बहार था

उसे पढ़ के तुम न समझ सके कि मिरी किताब के रूप में
कोई क़र्ज़ था कई साल का कई रत-जगों का उधार था

- Aitbar Sajid
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari