chhote chhote se mafaadaat liye firte hain
dar-b-dar khud ko jo din raat liye firte hain
apni majrooh anaon ko dilaase de kar
haath mein kaasa-e-khairaat liye firte hain
shehar mein ham ne suna hai ki tire shola-nava
kuchh sulagte hue naghmaat liye firte hain
mukhtalif apni kahaani hai zamaane bhar se
munfarid ham gham-e-haalat liye firte hain
ek ham hain ki gham-e-dehr se furqat hi nahin
ek vo hain ki gham-e-zaat liye firte hain
छोटे छोटे से मफ़ादात लिए फिरते हैं
दर-ब-दर ख़ुद को जो दिन रात लिए फिरते हैं
अपनी मजरूह अनाओं को दिलासे दे कर
हाथ में कासा-ए-ख़ैरात लिए फिरते हैं
शहर में हम ने सुना है कि तिरे शोला-नवा
कुछ सुलगते हुए नग़्मात लिए फिरते हैं
मुख़्तलिफ़ अपनी कहानी है ज़माने भर से
मुनफ़रिद हम ग़म-ए-हालात लिए फिरते हैं
एक हम हैं कि ग़म-ए-दहर से फ़ुर्सत ही नहीं
एक वो हैं कि ग़म-ए-ज़ात लिए फिरते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Raat Shayari Shayari