bande zameen aur aasmaan sarma ki shab kahaaniyaan
sacchi hain ye rifaqatein baaki hain sab kahaaniyaan
kheme ukhad ujad gaye aisi hawaa-e-shab chali
kirnen zameen pe likh gaeein kaisi ajab kahaaniyaan
wusaat-e-dasht ke makeen waadi mein kooch kar gaye
shaakhon pe barf likh gai naghma-b-lab kahaaniyaan
chaand ki khaak aa gai pairo'n tale hayaat ke
aisi kathin rivaayatein aisi kadhab kahaaniyaan
jawhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitaab mein
mitti se sun raha hoon main aali-nasab kahaaniyaan
wusaat-e-koh-o-dasht ho shehar o nagar ka gasht ho
mera safar hikaayaten mera adab kahaaniyaan
shehron ko kya khabar ki main kaun hoon kis fazaa mein hoon
likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaaniyaan
बंदे ज़मीन और आसमाँ सरमा की शब कहानियाँ
सच्ची हैं ये रिफाक़तें बाक़ी हैं सब कहानियाँ
ख़ेमे उखड़ उजड़ गए ऐसी हवा-ए-शब चली
किरनें ज़मीं पे लिख गईं कैसी अजब कहानियाँ
वुसअत-ए-दश्त के मकीं वादी में कूच कर गए
शाख़ों पे बर्फ़ लिख गई नग़्मा-ब-लब कहानियाँ
चाँद की ख़ाक आ गई पैरों तले हयात के
ऐसी कठिन रिवायतें ऐसी कढब कहानियाँ
जौहर-ए-हक़ नहीं मिला मुझ को किसी किताब में
मिट्टी से सुन रहा हूँ मैं आली-नसब कहानियाँ
वुसअत-ए-कोह-ओ-दश्त हो शहर ओ नगर का गश्त हो
मेरा सफ़र हिकायतें मेरा अदब कहानियाँ
शहरों को क्या ख़बर कि मैं कौन हूँ किस फ़ज़ा में हूँ
लिखनी हैं एक दिन मुझे सब्र-तलब कहानियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Aasman Shayari Shayari